Armaan Malik sings Tere Mere for Saif Ali Khan's Chef movie. Music is given by Amaal Mallik while lyrics written by Rashmi Virag.
It is an official remake of American film Chef (2014). Chef movie is about journey of Roshan Kalra (Saif Ali Khan). It is an unsual story about food and love and family and togetherness.
Tere Mere lyrics in English
Tere mere darmiyaan hai baatein ankahi
Tu wahan hai main yahan
Kyun saath hum nahin (x2)
Faisle jo kiye
Faasle hi mile
Rahein judaa kyun ho gayi
Na tu ghalat na main sahi
Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere (x2)
Le ja mujhe... le ja mujhe...
Thodi si dooriyan hain
Thodi majburiyan hain
Lekin hai jaanta mera dil
Ho... Ik din toh aayega
Jab tu laut aayega
Tab phir muskurayega mera dil
Sochta hoon yaheen
Baithe baithe yoonhi
Rahein juda kyun ho gayi
Na tu ghalat na main sahi
Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere (x2)
Le ja mujhe... (x2)
Yaadon se lad raha hoon
Khud se jhaghad raha hoon
Aankhon mein neend hi nahi hai
Ho... tujhse juda hue toh
Lagta aisa hai mujhko
Duniya meri bikhar gayi hai
Dono ka tha safar
Manzilon pe aakhar
Rahein juda kyun ho gayi
Na tu ghalat na main sahi
Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere
Le ja mujhe saath tere
Mujhko na rehna saath mere
Le ja mujhe... (x2)
Sun mere Khuda bas itni si meri duaa
Lauta de humsafar mera
Jaayega kuch nahi tera
Tere hi dar pe hoon khada
Jaun toh main jaaun main kahaan
Taqdeer ko badal meri
Mujhpe hoga karam tera...